Ghazab Hai Ab Tak Gunah Ka

غضب ہے اب تک گُناہ کا کانٹا جِگر میں میرے کھٹک رہا ہے
جو چھوڑے رستہ نجات کا دِل کہاں کہاں وہ بھٹک رہا ہے
Ghazab hai ab tak gunah ka kanta Jigar mein merey khatak raha hai
Jo chourey rasta najaat ka dil Kahaan kahaan woh bhatak raha hai


ہمارے طالع ہوئے ہیں یاور فلک سے آیا زمیں پہ داور
ہوا ہے مریم کے گھر میں ظاہر غریب خانہ چمک رہا ہے
Hamarey talley huwey hain yawar Falak sey aaya zameen peh dawar
Huva hai Mariam ke ghar mein zahir Gharib khana chamak raha hai


خدا کے بندوں میں جان آئی جو آج جانِ جہان آئی
نجات آئی زمیں پہ بھائی فلک بھی حسرت سے تک رہا ہے
Khuda key bandoun mein jaan ayi Jo aaj jan-e-jahan aayi
Najaat aayee zameen peh bhai Falak bhee hasrat sey tak raha hai


فلک پہ خوشیاں منا رے ہیں فرشتگاں غُل مچا رہے ہیں
خُدا کی تعریف گا رہے ہیں خُوشی سے بادل کڑک رہا ہے
Falak peh khushiyaan mana rahe hain Farishtegaan ghul macha rahey hain
Khuda ki tareef gaa rahey hain Khushi sey badal karrak raha hai


سُنو تو بیت لحم میں آیا خُدا کا بیٹا نجات لایا
یہ مژدہ ہم نے تمھیں سُنایا کہ سر کو شیطاں پٹک رہا ہے
Suno to Beteleham mein aaya Khuda ka beta najaat layaa
Yeh muzhda hum ne tumhein sunaya Ke sar ko Shetain patak raha hai


وہ آج عالم میں گُل ہے آیا کہ جس پہ بُلبل کا دِل ہے آیا
خزاں کا جِس پہ نہیں ہے سایہ اُسی کا تارا دمک رہا ہے
Woh aaj aalam mein gull hai aaya Ke jis peh bul bul ka dil hai aaya
Khizaan ka jis peh nahin hai saaya Uosi ka tara damak raha hai




error: Content is protected !!